TERA MERA RISHTA
tera mera rishta hai
nind aur khwabo jaisa
kabhi palko par saja
kadhi ankho me kaid tha
tera mera rishta hai
jaise saya hamara
jo har pal mere sath tha
kabhi dundhala
kabhi roshan har khwab tha
tera mera rishta hai
zameen aur bund jaisa
har pal tarasta
har ghadi tadapta
aur ek lamha jo mil jaye
fanna ho jata agosh me
tera mera rishta hai
sagar aur nadiya ka milan
jise koi pehchan nahi paye
kis dhara me
kaun behta chala jaye
tera mera rishta hai
jaise do ankhe
aju baju rahte hai
par na koi alfaz na bate
bas ek dusare ko har pal
har ghadi take
tera mera rishta
jaise dhup chav ka khel hai
kabhi judai to kabhi milan me bela hai
tera mera rishta
diya aur baati jaise
jalta hai ek aur
pighalta hai dusra uske gam me
tera mera rishta
umar bhar ka sath nahi
par pal ka tera sath
ek umar ki baat kahe..................
Ro$hni
No comments:
Post a Comment